IRCTC Se Tatkal Ticket Book Kaise Karen 25 Second Mein

IRCTC Se Tatkal Ticket Book Kaise Karen 25 Second Mein:

Hello friends iss post me mai bataunga ki irctc se tatkal ticket book kaise karen.Dosto aaj ke samay me irctc railway se ticket reservation ticket confirm pane ke liye apko kam se kam 1-2 mahine pahle hi ticket book krana padta hai. Tab jake apko ticket kahin confirm mil pata hai.Aur agar festival season ho to aur bhi muskil ho jata hai.Aaksar waiting list milti hai 100-250-500 aise waiting milti hai jiske confirm hone ke chance na ke barabar hota hai.But agar apko emergency me kahi jana padta hai kisi jaruri kaam se to uss waqt ticket milna muskil hota hai.
kyu ki jo bhi ticket milegi wo waiting me hogi.aisi me agar lambi dri tay karni ho to waiting me jana muskil ho sakta hai.
Railway Station Ya Private Ticket book karne walo se ticket Book karana me bhaut si paresani hoti hai.
  • Iske liye apko station pe line me lagana padta hai wo bhi subah me hi aur 10- bajne ka wait karna padta hai.
  • Aur tatkal ki ke liye lambi line bhi lagti hai.
  • Aur iske baad bhi ticket cofirm ho iski koi guranee nahi.
  • Aur agar aap tatkal Ticket kisi dukanadar se ye kaam karwate hain to wo apse adhik paise ki mang karta hai. Agar ticket rate 500 Rs ho to Wo 1000 ki mang karega.
Jabki isme Kharch bhaut kam hota hai. Agar 500 ka ticket hai to uska dynamic fare banata hai yani 500 ke ticket ke liye irctc apse extra charge karti hai 100 rs -180 Rs tak hoti hai .yani apko 600 ya 680 Rs dene padte hain.
Lekin dukandar apse double paise mangata hai.
Irtctc tatkal Ticket book Karne ke Timing-
1 – Indian railway ki Ticket book karne ke liye Apke pass bhaut hi thoda sa samay hota hai.
2- Iske liye AC ticket ke liye 10:00 Am se open hoti hai Aur sleeper ke liye 11:00 Am ka time hota hai.
3- irctc tatkal Ticket ek din pahle book hoti hai.agar apko kal jana hai to ticket ajj subah 10:00 ko book karna padta hai.
Note- Yaha 10:00 ya sleeper ke liye jo time hoti hai 11:00 Am  hoti hai To isme apke paas bhaut kam time hoota hai Yahan apko 1-2 minute me hi tatakal ticket book Karna hota hai.nahi to usse pahle hi sare ticket book ho jate hai.kyu ki log pahle se hi ticket book ke liye baithe hote hain.
Aise Me apko bhaut fast ticket book karna hoga.Aur iske liye Myhelpblog pe aaj mai apko 30 second me hi Tatkal ticket book karne ki tricks bataunga.
IRCTC Tatkal Booking Tricks Aur Requirments: Irctc se tatkal ticket book karne ke liye apke pass kuch chije honi chaiye
  • Fast Internet Conection.
  • Irctc Account
  • Online Payment Ke liye Debit card,credit card.
Irctc Tatkal Book Karne ke liye Kya karen-
Ab aapko maiek tool bataunga jiski help se aap tatkal ticket 30 second me hi book kar sakte hain. Iske liye apke pass chrome browser hona chahiye.Iske liye apko IRCTC Magic Autofill Ka use karen.
Friends tatkal ticket book karne me sabse adhik time apko form fill karne aur train name date dalne me chala jata hai.
To sabse pahle aap agar sleeper ya Ac ticke t book karna chahte hain tab 10:00 Am se pahle aapko ye kaam karna hoga.sabse pahle aap Irctc Tatkal Magic auto fill site pe jayen.
2- Ab Open reservation Form button pe click karen.
irctc-auto-fill-form-open irctc tatkal ticket kaise book karen
3 – Ab ek irctc site ke trah hi ek form open hoga. Isme aap apne irctc site ka login password enter karen full detail dalen. Jaise date, apko travel kaha se kaha karni hai, Apna name ,Age, jaise sabhi detail enter karen aur niceh hi payment option bhi selet karen debit card ,credit card, net banking. Sabhi jaruri chije fill karen aur Submit detail pe click karen.
irctc-tatkal-ticke-kaise-book-karen..

4 – Ab apka form save ho jaega aur, Ab Agle page me ek button generate hoga. Usee koi bhi name de den , jaese maine apna name diya Amit.
tatkal-ticket-book-kaise-karen
5 – Ab aap Amit Button ko drag karke browser ke upar le jake save karna hai, Iske liye Amit Button pe Pointer le jake mouse button Click karte hue use upar bookmark me le jake chod den.
irctc-tatkal-ticket-booking
Ab Amit name se apko button dikhega. Jsie maine upar dikhaya hai.
Ab aap tatkal ticket ke time hone ke kuch second pahle hi IRCTC Site pe jaye Amit button pe click karen. Ab apke site me user id aur password fill ho jaega aur wahah pe capcha code enter karen aur login karen.
  • Login karne ke baad aap 11 ya 10 time hote hi Amit button pe click karege to turant hi apke form jaha aap station aur date fill karte hain wo automatic fill ho jaega.
  • Ab submit button pe click karen.
  • Ab train list aa jaega. Waha aap phir se Amit button pe click karen.to automatic tatkal option select ho jaega. Ab unn train list me se train ko select karen Aur SL ya Ac option pe click karen. Aur book now pe click kren.
  • Ab new page me Passenger detail bhi apko fill nhi karna padega.aap waise hi waha bhi Amit button pe click karege to passenger detail automatic fill ho jaegi.
  • Ab niche aapko payment option me bhi kuch bhi karne ki jarurat nhi kyu ki wo bhi fill ho jaega bas apko apna debit card ya net banking detail enter karen aur aur aur captcha code enter karen aur make payment pe click karen. Ab apka net speed acchi hai to apka payment ho jaega.
Inn sabhi ko aap agar fast karte hain to form save karne ke baad 30 -40 second me hi Irctc tatkal ticket book kar lenge.
Note- Iss Trick Ko aap Thik se padhen, aur ek baar try jarur karen ,kyu ki Maine Isse Ticket 30 second me book kiya hai. Ho sakta hai pahli baar thodi dikkat ho lekin jab aap isse samajh jaenge To bhaut asani se kar payenge.
Agar ye post pasand aye to share aur comment karen Aur apna sawaal puchen…
Previous
Next Post »

Thank You For Your Query We Will Reply Soon ConversionConversion EmoticonEmoticon